Saturday, March 8, 2008

Main Zindagi Ka Saath

Song: Main zindagi ka saath nibhata chala gaya
Film: Hum Dono
Lyricist: Sahir Ludhianvi



Main Zindagii Kaa Saath Nibhaataa Chalaa Gayaa
Har Fikr Ko Dhuen Men Udaataa Chalaa Gayaa

Barabaadiyon Kaa Sog Manaanaa Fizuul Thaa \- 2
Barabaadiyon Kaa Jashn Manaataa Chalaa Gayaa
Main Zindagii...

Jo Mil Gayaa Usii Ko Muqaddar Samajh Liyaa \- 2
Jo Kho Gayaa Main Usako Bhulaataa Chalaa Gayaa
Main Zindagii...

Gam Aur Khushii Me.N Fark Na Mahasuus Ho Jahaa.N \- 2
Main Dil Ko Us Muqaam Pe Laataa Chalaa Gayaa
Main Zindagii...

Sunday, February 24, 2008

Ek akela is shaher mein

Song: Ek Akela is shaher mein
Film: Gharonda
Lyricist: Gulzar saab



Ek Akela Is Shahar Mein Raat Mein Aur Dopahar Mein
Aabodaana Dhoondta Hai Aashiyana Dhoondta Hai

Din Khali Khali Bartan Hai Aur Raat Hai Jaise Andha Kuan
In Sooni Andheri Aankhon Se Aansoon Ki Jagah Aata Hain Dhuan
Jeene Ki Vajah To Koi Nahi Marne Ka Bahana Dhoondta Hai
Ek Akela Is Shahar Mein...

In Umar Se Lambi Sadkon Ko Manzil Pe Pohonchte Dekha Nahin
Bas Daudti Phirti Rahti Hain Humne To Theherte Dekha Nahin
Is Ajnabi Se Shahar Mein Jaana Pehechana Dhoondta Hai
Ek Akela Is Shahar Mein...

Sunday, February 17, 2008

Duniya Bananewale

Song: Duniya Bananewale Kya Tere Mann Mein Samayi
Film: Teesri Kasam
Lyricist: Hasarat Jaipuri



Duniya Bananewale Kya Tere Mann Mein Samaayi
Kaaheko Duniya Banayi
Toone Kaaheko Duniya Banayi

Kahe Banaye Toone Maati Ke Putle
Dharti Yeh Pyari Pyari
Mukhde Yeh Ujle
Kaahe Banaya Toone Duniya Ka Khela
Usme Lagaya Jawaani Ka Mela
Gup Chup Tamasha Dekhe, Wah Re Teri Khudaai
Kahe Ko Duniya...

Tu Bhi To Tadpa Hoga Mann Ko Banakar
Toofan Yeh Pyaar Ka Mann Mein Chupakar
Koi Chabi To Hogi Aankho Mein Teri
Aansoo Bhi Chalke Honge Palkon Se Teri
Bol Kya Sujhi Tujhko, Kahe Ko Preet Banai
Kahe Ko Duniya...

Preet Banaake Toone Jeena Sikhaaya
Hansna Sikhaaya, Rona Sikhaaya
Jeevan Ke Path Par Meet Milaye
Meet Milake Toone Sapne Sajaaye
Sapne Sajaake Toone Kahe Ko De Di Judaai
Kahe Ko Duniya...

Saturday, February 9, 2008

Roobaroo Roshni Hai

Song: Roobaroo Roshni Hai
Film: Rang De Basanti
Lyricist: Prasoon Joshi



Aye saala
Abhi abhi huaa yaqeen
Ki aag hai mujh mein kahin
Hui subaah main chal gaya
Suraj ko main nigal gaya

Roobaroo roshni hey - 2

Jo gumshuda sa khwaab tha
Woh mil gaya woh khil gaya
Woh loha tha pighal gaya
Kichhaa kichhaa machal gaya
Sitaar mein badal gaya

Roobaroo roshni hey - 2

Dhuaan chhataa khula gagan mera
Nayi dagar naya safar mera
Jo ban sake tu hamsafar mera
Nazar mila zara - 2

Aandhiyon se jaghad rahi hai lau meri
Ab mashaalon si badh rahi hai lau meri
Naamo nishaan rahe na rahe
Yeh kaaravaan rahe na rahe
Ujaale main pee gaya
Roshan huaa jee gaya
Kyun sehte rahe

Roobaroo roshni hey - 2

Dhuaan chhataa khula gagan mera
Nayi dagar naya safar mera
Jo ban sake tu hamsafar mera
Nazar mila zara - 2

Aye saala - 4

Saturday, February 2, 2008

Zindagi Kya Baat Hai

Song: Zindagi Kya Baat Hai
Film: Astitva
Lyricist: Shrirang Godbole

Zindagi Kya Baat
RadioReloaded.com |




Zindagi Kya Baat Hai, Zindagi Kya Baat Hai

Zindagi Khola Samandar Jis Mein Doobi Kashtiyaan
Zindagi Veeraan Banjar Jisse Uth Gayi Bastiyaan
O, Zindagi Khola Samandar Jis Mein Doobi Kashtiyaan
Zindagi Veeraan Banjar Jisse Uth Gayi Bastiyaan
Jisko Kehte Ho Janam Voh Maut Ki Shuruaat Ho

Zindagi Kya Baat Hai, Zindagi Kya Baat Hai

Itna Na Maayus Ban Tu, Kar Zara Zindaadili
Kyoon Nahin Dikhti Tu Hai Voh Khopr Par Khilti Kali
Jisko Kehte Ho Andhera Din Ki Voh Shuraat Hai

Zindagi Kya Baat Hai, Zindagi Kya Baat Hai

Saturday, January 26, 2008

Jaage hain

Song: Jaage Hain
Film: Guru
Lyricist: Gulzar



Jaage hain der tak hamein
Kuch der sone do
Thodi si raat aur hai
Subaah toh hone do

Aadhe adhoore khaab jo
Poore na ho sake
Ek baar phir se neend mein
Who khaab bone do

Saturday, January 19, 2008

Jame Raho

Song: Jame Raho
Film: Taare Zameen Par
Lyricist: Prasoon Joshi



Kas Ke Joota Kas Ke Belt
Khons Ke Andar Apni Shirt
Manzil Ko Chali Sawaari
Kandho Pe Zimmedari
Haath Mein File Man Mein Dum
Meelon Meel Chalenge Hum
Har Muskil Se Takrayenge
Tas Se Mus Na Honge Hum

Duniya Ka Naara Jame Raho
Manzil Ka Ishaara Jame Raho
Duniya Ka Naara Jame Raho
Manzil Ka Ishaara Jame Raho

Ye Sote Bhee Hain Attention
Aage Rehne Ki Hai Tension
Mehnat Inko Pyari Hai
Ekdum Aagyakari Hain
Ye Omlet Par Hi Jeete Hain
Ye Tonic Saare Peete Hain
Waqt Pe Sote Waqt Pe Khate
Taan Ke Seena Badhte Jate

Duniya Ka Naara Jame Raho...

Yahaan Alag Andaz Hai
Jaise Chidta Koi Saaz Hai
Har Kaam Ko Taala Karte Hain
Ye Sapne Paala Karte Hain
Ye Hardum Socha Karte Hain
Ye Khud Se Poocha Karte Hain

Kyon Duniya Ka Naara Jame Raho...

Ye Waqt Ke Kabhi Ghulam Nahin
Inhain Kisi Baat Ka Dhyan Nahin
Titli Se Milne Jaate Hain
Ye Pedon Se Batiyate Hain
Ye Hawa Batora Karte Hain
Barish Ki Boondein Padhate Hai
Aur Aasmaan Ke Canvas Pe
Ye Kalakariyan Karte Hain

Duniya Ka Naara Jame Raho..