Saturday, January 26, 2008

Jaage hain

Song: Jaage Hain
Film: Guru
Lyricist: Gulzar



Jaage hain der tak hamein
Kuch der sone do
Thodi si raat aur hai
Subaah toh hone do

Aadhe adhoore khaab jo
Poore na ho sake
Ek baar phir se neend mein
Who khaab bone do

Saturday, January 19, 2008

Jame Raho

Song: Jame Raho
Film: Taare Zameen Par
Lyricist: Prasoon Joshi



Kas Ke Joota Kas Ke Belt
Khons Ke Andar Apni Shirt
Manzil Ko Chali Sawaari
Kandho Pe Zimmedari
Haath Mein File Man Mein Dum
Meelon Meel Chalenge Hum
Har Muskil Se Takrayenge
Tas Se Mus Na Honge Hum

Duniya Ka Naara Jame Raho
Manzil Ka Ishaara Jame Raho
Duniya Ka Naara Jame Raho
Manzil Ka Ishaara Jame Raho

Ye Sote Bhee Hain Attention
Aage Rehne Ki Hai Tension
Mehnat Inko Pyari Hai
Ekdum Aagyakari Hain
Ye Omlet Par Hi Jeete Hain
Ye Tonic Saare Peete Hain
Waqt Pe Sote Waqt Pe Khate
Taan Ke Seena Badhte Jate

Duniya Ka Naara Jame Raho...

Yahaan Alag Andaz Hai
Jaise Chidta Koi Saaz Hai
Har Kaam Ko Taala Karte Hain
Ye Sapne Paala Karte Hain
Ye Hardum Socha Karte Hain
Ye Khud Se Poocha Karte Hain

Kyon Duniya Ka Naara Jame Raho...

Ye Waqt Ke Kabhi Ghulam Nahin
Inhain Kisi Baat Ka Dhyan Nahin
Titli Se Milne Jaate Hain
Ye Pedon Se Batiyate Hain
Ye Hawa Batora Karte Hain
Barish Ki Boondein Padhate Hai
Aur Aasmaan Ke Canvas Pe
Ye Kalakariyan Karte Hain

Duniya Ka Naara Jame Raho..